Urdu Health Articles, Home Treatments, Benefits of Fruits And Vegetables, Homoeopathic Treatments And Tips in Roman Urdu
Pumpkin Halwa Benefits : Here you will read about Pumpkin Halwa Benefits In Roman Urdu. Kddu are cooked as a vegetable. Thirst is quenched.
Table of Content |
Pumpkin Halwa Benefits In Roman Urdu
Is ko bator tarkari paka kar khatay hain. Piyaz bhujata hai, Khalt galez paida karta hai. Pait ko naram karta hai. Is ka halwa mokwi ba hai. Is ka goda bator paltz phoro, car bankal or ganday zakmo par bandhtay hain. Takam halwa kaddo or rogan magaz, halwa kaddo dono kaddo dana pait warm kay liyeh karam kash taser raktay hain. Jab bacho may kaddo dana ki shikayat pai jae to 15 reti takmo ko cheelko samat kot kar shahad may mila kar lahok bana lay or suhba k waqt nihaar moo khila kar is kay 2 ya 3 ghantay baad monasib mikdar may castaroil pilaey. In ki taser halki melan bhi hai.
Halwa kaddo bhi tarbooz wagaira or gheeya kaddo ki aik kism hai or isi khandan say taluk raknay wali sabzi hai. Yeh aik baill ka pahal hai jo goal or lambotaray iksam may miltay hain. Is kay ajza may vitamin A, B or C shamil hain or is ka mizaaj sard tar hai gosht kay humra khana bahter hai. Har chand is may gizayat kam hoti hai magar yeh qabz ko khatam kar deta hai. Dil wa dimag ko taqat denay k liyeh is ka istemal bahtar hai. Halwa kaddo blood pressure ko khatam karta hai or piyaz bujahta hai. Garmi dur karta hai.
Safarawi bhukaroo may halwa kaddo sab say bahtreen sabzi hai is ka salan mareez ko khilanay say faida hota hai. Daimi qabz k mareez halwa kaddo ka istemal karay to daimi qabz ka khatma ho jata hai. Halwa kaddo ka salan sahl or dakh k mareezo k liyeh bahtreen giza hai. Is ka istemal sard mizaaj logoo ko adrak or ghosht kay bagar karna chayehs.
Copyright 2016 www.urduhealth.com...............
Template by w3layouts